Ye sab se zyada poocha jane wala sawal hai, aur ye dar bay-wajah nahi hai.
Hamari taraf se seedha jawab: session mein jo baat hoti hai wo confidential hai. Ghar walon ko, shohar ko, sasural ko, employer ko ya kisi insurance company ko kuch nahi bataya jata. Session record nahi hote. Confidentiality sirf teen surton mein toot sakti hai: zindagi ko foari aur sanjeeda khatra, kisi bachay ko khatra, ya adalti hukm. Bas. Poori tafseel privacy policy mein likhi hui hai.
Lekin asal mein exposure aksar doosri taraf se hota hai, yani aap ki taraf se, aur usi par sochna zyada faida deta hai. Session online hote hain, to koi waiting room nahi jahan koi aapko dekhe. Magar WhatsApp ki chat aap ke apne phone par reh jati hai, call log kisi ko nazar aa sakta hai, aur payment shared statement mein dikh sakti hai.
Jo log iska hal nikalte hain wo ye karte hain: sirf audio call, jo kisi bhi aam call jaisi lagti hai; headphones; gaari mein baith kar baat; aur apni taraf se messages delete kar dena. Ye maangna ajeeb nahi samjha jata, bohat log yahi karte hain.
Aur aakhri baat: counselling lena pagal pan ki nishani nahi hai. Zyadatar log jo yahan aate hain unki zindagi bahar se bilkul theek chal rahi hoti hai.
This is general information in reply to a public question, not advice about your own situation, and it does not create a client relationship. If you are in immediate danger, contact emergency services.